To kya main zindagi jee raha?

——-*————*———–*———–*———-

Naa kabhi dil toota,
Naa maine dil haara,
Naa toota koi dukh ka pahar,
Naa hi hai pure parivar ka bhar,
Agar in sare ghum ko na saha,
To kya main zindagi jee raha?

Naa hi likhne ke liye shabdkosh hai,
Naa hi meri kundali me koi dosh hai.
Naa hi duniyadari ka mujhe gyaan hai,
Naa hi kis cheez ka abhimaan hai.
Agar koi tazurba hi na raha,
To kya main zindagi jee raha?

Na hi mere marne se kisi ko koi fark parta hai,
Naa mere kehne se dastoor badalta hai.
Agar mere astitva ka matlab hi na raha,
To kya main zindagi jee raha?

Jee to sab rahe hai, par kya aise hi zindagi jeete hain?
Meri zindagi me koi dukh nhi, to batao kaise sehte hain?
Bina dard ke dastaan kaise bayan karte hain?
Tasavoor me nhi, haqiqat me kaise jeete hain?
Inhi uljhano me fansa raha,
To batao kya main zindagi jee raha?

©2019, abhiketsrivastava. All rights reserved.

Leave a comment